Rate this music
Played 79 times | 19 comments
Original sung by Sunidhi Chavan and Gayatri Iyer, from the movie “Honeymoon Travels Pvt Ltd” . Composed by Shankar-Ehsan-Loy.
I think Priyanka has done reasonable justice to the song…Expecting feedback from all of you.
This song was suggested by fellow Muzibian Ronak …
Ronak, Thanks for suggesting such a wonderful song…
Lyrics:
(Pyaar ki yeh kahaani—suno
ek ladka tha, ek ladki thi
hoti kya hai jawaani—suno
ek ladka tha, ek ladki thi
woh bhi ek daur tha
waqt hi aur tha
jab woh the ajnabi
dono tanaha se the
par woh kehte kise
baat jo dil mein thi) – 2
pyaar ki yeh—kahaani suno
ek ladka tha, ek ladki thi
hoti kya hai jawaani suno
ek ladka tha, ek ladki thi
gumsum gumsum rehte the dono
phir bhi dil mein kehte the dono
koyi sapana hum bhi to paayein
ek din tute ghum ke woh ghere
jhilmil jhilmil aaye savere
mausam badala jaagi fizaayein
woh mil gaye, woh khil gaye
aur pyaar ho hi gaya
jo chaha tha, woh paaya to
hosh kho hi gaya
pyaar ki yeh kahaani suno
ek ladka tha, ek ladki thi
hoti kya hai jawaani suno
ek ladka tha, ek ladki thi
haule haule abb woh deewaane
gun gun gaaye dil ke taraane
sun sun jhumein saari hawaanyein
dhadkan dhadkan hai behaki behaki
mann mann, mann mann, chaahat hai mehaki
sapane apane jaadu jagaayein
phir dekhoge, toh jaanoge
kya hai nasha pyaar ka
yahi sochoge, yahi chaahoge
sun rahi ye sada
pyaar ki yeh kahaani suno
ek ladka tha, ek ladki thi
hoti kya hai jawaani suno
ek ladka tha, ek ladki thi
woh bhi ek daur tha
waqt hi aur tha
jab woh the ajnabi
dono tanaha se the
par woh kehte kise
baat jo dil mein thi
Please Login to comment on Pyar ki yeh kahani suno...Cover version



Loading Comment ...